Dharali gaon ine Uttrakhand..
Dharoli gaon Uttrakhand mein sthit hai. Dharali gaon Gangotri Dham ke pass sthit hai dharali gaon Gangotri se matra 20 kilometer dur hai.
Abhi barish ka Mausam chal raha hai vaise bhi Uttrakhand mein bahut jyada barish hoti hai.
Abhi 10 din pahle hi dharali gaon mein teen bar Badal fata tatha kafi tabahi Hui.
Dharali gaon mein kafi makanon tatha hotelon ko nuksan hua Hai.
Gharwali gaon ke log dar ke saye mein ji rahe hain.
Jo paryatak Gangotri Dham jaate Hain unmen se kafi paryatak dharali ki hotelon mein thahar jaate Hain kyunki vahan se Gangotri najdeek hai isliye dharauli gaon mein paryatak night stay kar lete hain.
Dharali gaon mein Badal fata to kafi paryatak bhi thehre hue The.
Jaise hi Badal fata photo aur makanon ke upar malaba gira aur kafi nuksan bhi hua. Kafi log malabe ke niche dab Gaye. Jaise hi hadse ka pata Chala hamari Sarkar ne aur sabhi hamare Jawan bhai tatha NDRF ki teamon ne morcha Sambhal liya aur turant Hi malbe Ko hatane ke karya mein jut Gaye tatha logon Ko Rahat samagri pahunchai gai kyunki sabhi sadkon se sampark Tut chuka tha aur Charon taraf Pani hi Pani tatha malaba najar a raha tha.
Uttrakhand ke dharali aur harsil mein bhusankanan tatha ward ke bad Sena Ne bachav Rahat karya ka abhiyan jari hai.
Engineer doctor tatha Khoj dal lagatar bachav ke kam mein jute hue hain.
Dharali ke sthaniya nivasi ab Ghar ki mang kar rahe hain Sarkar se.
Seema sadak sangathan aur Sena ne 90 foot ke beli pul ke Nirman mein safalta hasil ki Hai tatha is pul per धीरे-धीरे aawagaman shuru ho gaya hai.
330 foot ke cable Veta kam chalu hai thoda time lagega lekin kam ho jaega.
Hamare Sarkar hamare Fauji Jawan bhai tatha Anya Dal bachao Rahat karya mein Lage hue hain tatha dharali ko wapis pahle jaisa gaon banaa Diya jaega aise prayas kiye Ja Rahe Hain.
Dharali prakrutik ki God mein Prasad ek Chhota Sa gaon hai jiski Abadi 1000 hai.
Dharali gaon mein ab bhi Dara rahi hai khir Ganga nadi.
Hadse ke khauf mein ji rahe hain dharali gaon ke log.
Malabar girne Jaisi tatha Badal fatane Jaisi aapda kabhi Na Aaye.
Bhagwan Ji sab ki Raksha Karen.
Comments
Post a Comment