Jal hi jivan hai
Jal hi jivan hai. Hamare jivan mein jal ka bahut mahatva hai. Subah se Sham Tak ham jal ke Bina rah nahin sakte. Garmi ke Mausam mein Pani ki khapat jyada hoti hai. Pashu pakshiyon ped paudhon sabko Pani ki avashyakta hoti hai. Ped paudhon mein Pani Dene se vah hare bhare ho jaate Hain aur Sundar dikhte Hain aur Bina pani ke paudhe murza jaate Hain. Hamari dincharya mein Pani ka bahut yogdan hai. Gaon mein Pani ki bahut samasya hai Kai gaon to aise Hain Jahan se mahilayen bahut दूर-दूर se peene ka Pani lati hai. Hamen Pani ki Kami ko dekhte hue Pani ko sahaj kar rakhna chahie. Hamen bacche hue Pani ka upyog Karna chahie. Barish ke Pani ko बड़े-बड़े talab nadiyon v Bandhu on mein save karna chahie taki jarurat padane per use pani ka use Kiya ja sake.
Comments
Post a Comment