Samuhik lagan.
Samuhik lagan ka Arth hai bahut sari shadiyan ek sath hona. Jaise 21 couple ya 50 couple. Ine sab ki shaadi ek sath mein hoti hai usko samuhik lagan bola jata hai.
Sab दूल्हा-दुल्हन ek jaisa dress pehnate Hain. Samuhik lagn mein sab log Tan man aur dhan se seva karte Hain. Aur sab ki mehnat rang lati hai. Kafi sankhya mein log ekatthe hote Hain aur unko thehrane ke liye badi jagah leni padati hai. Sabhi ko thehrane aur khane peene ki vyavastha ka pura Dhyan Rakha jata hai.
Aajkal shadiyon mein bahut jyada kharcha hota hai isliye samuhik lagan sahi rahata hai. Jisko bhi kuchh saman Dena hota hai vah utane hi fees deta hai jitne couple hote Hain.
Samuhik lagn ki taiyariyan 4 mahine pahle hi shuru Ho jaati Hain. Taki har chij ki vyavastha sucharu roop se ho sake.
Samuhik lagn mein sabhi log badh chadhkar hissa lete Hain. Koi jagah ki vyavastha dekhta hai to koi bhojanshala ki to koi dulha dulhan ke sabhi program ki vyavastha sambhalta hai. Samuhik lagan ek ya do din ka bhi ho sakta hai.
Mera Aisa manana hai ki samuhik lagan sal mein ek bar to hona hi chahie. Samuhik Vivah ke jarie jis Parivar ki arthik sthiti theek nahin Hoti usko bahut madad mil jaati hai. Jo log shaadi ka jyada kharcha afford nahin kar paate unke liye samuhik lagan bahut achcha hai.
Thank you so much.
Comments
Post a Comment