Shiksha ka mahatva.

Shiksha ka hamare jivan mein bahut mahatva hai. Shiksha ke Bina jivan adhura hai. Shiksha ka Arth hai jivan mein Gyan prapt karna aur Vidya prapt karna. Har kisi ke jivan mein Shiksha bahut jaruri hai. Shiksha sabhi ke Ujjwal bhavishya ke liye bahut jaruri hai.

Shiksha ke Bina jivan adhura hai. Shiksha ka uchhtar logon se vyavhar aur Parivar mein aadar karna sikhata hai. Shiksha ka samay sabhi ke liye samajik aur vyaktigat roop se bahut mahatvpurn samay hota hai.

Shiksha ka Mul uddeshy vidyarthiyon ko charitravan banana hai. Shiksha se hi achcha rojgar milta hai aur Shiksha hi manushya ke vyaktitva ko nikharati hai. Padhe likhe log hi samaj ka Sahi margdarshan karte Hain.

Shiksha ke Bina ham Apne jivan mein kuchh bhi achcha nahin kar sakte yadi hamen Apne jivan mein kuchh achcha aur bada banna hai to uske liye Shiksha bahut jaruri hai. Shiksha manushya ka mansik Vikas karti hai. Aur unki soch badalti hai. Shiksha bacche ka bhavishya samati hai. Acchi padhe likhe log Parivar aur samaj ka Vikas karte Hain. Shiksha hamen rojgar ke avsar pradan karti hai. Ek padha likha Insan kabhi free nahin baithata hai usko kuchh Na kuchh idea aate rahte hain dimag mein. Agar ek anpadh vyakti padhe likhe vyakti ke sath baithata hai to kuchh Gyan ki baten lekar hi uthata hai.

Shiksha ka hamare jivan mein bahut mahatva hai aaj ke samay mein padha likha hona bahut jaruri hai Shiksha hamare jivan ki kunji hai.

Dhanyvad 

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..