Shubh ashubh din.

Kisi bhi din Ko Shubh ashubh Mana Jana ek andhvishwas hai. Iske piche koi Vivek tark nahin hai. Manushya ko samajhna chahie ki sab din Parmatma ke banae hue hain aur Parmatma sudbud aur satvik hai. Isliye Parmatma ki kisi Rachna mein dosh nikalna manushya ki apni buddhi hai. Har din Pavitra tatha Shubh hota hai.

Sahyog aur Akshar ke Karan koi war tathasthiti kisi ke liye suvidhajanak ho to yah alag baat hai. Isase uski pavitrata mein kisi prakar ka antar nahin padta hai vidwanon ka kahana hai ki shubh kam ke liye har din Shubh hota hai. Shastron mein kahan gaya hai ki jab bhi Dan karne ka man Karen to thodi bhi der nahin karni chahie aur Dan kar lena chahie Apne hath ka Diya Dan hi Kam aata hai.

Jab ham paida Bina muhurt ke hote Hain aur ham marte bhi Bina muhurt ke hi hain to vah din bhi Parmatma ke hi banae hue hain. Ham sari jindagi Shubh muhurt ke piche bhagate rahte hain. Mera Aisa manana hai ki Bhagwan roj ek Naya savera ugata hai aur parampita Parmatma hamen jagata hai aur hamen sulata bhi vahi hai.

Isliye subah ashubh din ke bhram se bahar nikale aur jab man kare ya Dil kare naya kam shuru kar le. Suraj Apne sath roj ek Naya savera lekar aata hai jabki Suraj ko pata hota hai ki sham ko to use dhalna hi hai fir bhi vah roj Apne samay anusar nikalta hai sham ke samay Suraj Dhal jata hai. Aur vah roj savere FIR nikalta hai vah kisi Shubh din ka intezar nahin karta hai.

Jo kam jab man man kare kar lena chahie shubh ashubh din ke chakkar mein Na pade.

Apni life injoy Karen daily.

Dhanyvad. 

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..