Bhog shaili parikrama.
Bhog shaili parikrama adhik mas mein hoti hai jis sal 13 mahine hote Hain. Unmen se ek adhik mas hota hai. 3 sal bad aata hai. Is sal do savan hai aur abhi adhik mas chal raha hai.
Bhog shaili parikrama hamare Rajasthan mein hamare Jodhpur mein hi hoti hai. Is savan mein yah parikrama 28 July ko shuru Hui aur 3 August ko iska samapan hua.
Bhog shaili parikrama ratanada Gajanand Ji ke mandir se shuru hoti hai. Pahla padav tatha ratri vishram ratanada Ganesh Mandir mein hi hota hai. Mahilayen purush bacche sabhi varg ke log ismein bhag lete Hain aur gaon se bhi bahut log aate Hain parikrama ka Anand Lene Ganesh Mandir se bichhudiya Ganesh ji mandir jaate Hain aur Darshan ka Labh lete Hain. पग-पग per seva aur Dan punya hota hai. Jodhpur mein Bhog sali parikrama me police guide aur seva daru ki vyavastha hoti hai. Satsang satsang bhajan kirtan karte sabhi shradhalu aage dusre padav ki taraf badhate Hain. 7 din tak Jodhpur mein mele jaisa mahaul hota
Doosra para chopasni krishna mandir mein hota hai. Sabhi bhaktgan subah 4:00 baje snan kar dusre padav ke liye Ravana Ho jaate Hain. Sabhi bhakton ki pure raste mein Ko man Manohar ki jaati hai.
Teesra padav Badli bheruji ke Mandir mein hota hai. Tent ki vyavastha hoti hai sabhi bhakt gan din bhar Puja paath satsang kar din mein vishram karte Hain.
Chautha padav mandal nath hote hue Baidyanath Shiv Mandir mein hota hai. Sabhi shradhalu jaikare lagate hue bhajan gate hue chalte Hain aur pahadi raston se gujarte Hain bahut hi Anand aata hai. Raste mein snan ki vyavastha hoti hai. Raste mein medical team malish wale tatha pani ke tankar sath mein chalte Hain. Agar kisi Ko chalne mein dikkat ho to bason ki vyavastha bhi hoti hai.
Paanchva padaveri Ganga hai. Paanchve din pathri ke liye raston se hote hue shradhalu berry Ganga pahunchte Hain aur vahin per snan kar Puja paath satsang bhajan kirtan karte H.
Chhata padav mandor garden mein hota hai jo ki parikrama ka aakhiri padav hai. Mandore garden main do kund Bane hue hain. Shradhalu usm dubki lagakar Puja paath karte Hain aur mandiron ke darshan karte Hain. Sham 5:00 baje shradhalu Ravana hokar krishi Mandi se hote hue Santoshi Mata ke Mandir mein Darshan kar wapas krishi Mandi a jaate Hain use din Mandi mein sab log Apne pratishthan band rakhte Hain aur shradhaluon ki khoob aao Bhagat karte Hain. Use din krishi Mandi mein kam se kam 15000 logon ki bhojan prasadi banti hai aur krishi Mandi mein niche baitha kar chauki per bhojan per shaadi khilai jaati hai. Chhote din Raat ka padav krishi Mandi mein hi hota ha.
Satven din subah 4:00 baje shradhalu shitala Mata ke mandir kaga mein Darshan karte Hain aur vahan per bhakton ki manuhar sangari ki sabji aur Puri se Hoti hai
Uske bad subah 7:00 baje bhaktgan umed palace pahunchte Hain aur ummid bhavan mein Shahi parivar shradhaluon ki manuhar karte Hain.
Uske baad ratanada Ganesh Mandir hote hue gang Shyam Ji ke mandir mein Bhog shaili parikrama ka samapan hota hai.
Is Bhog shaili parikrama mein khoob Anand aata hai aur bhog shaili parikrama koi char dham ki yatra ka Anand aata hai.
Bhog shaili parikrama mein sabhi samaj badh chadhkar bhag lete Hain aur apne seva dete Hain. Hindu seva mandal bhi seva mein bahut jyada yogdan deta hai.
Main bhi is parikrama mein do bar paidal gai hun. Samaj sevak pad per seva aur Dan punya karte Hain. Dhanya hai Jodhpur vasi is parikrama ke liye 2 mahine se man lagakar taiyari karte Hain.
Sabhi seva dhariyon ka tahe dil se dhanyvad hai.
Comments
Post a Comment