Baba Ramdev Ji ka Mela.
Rajasthan ke Ramdevra mein Ramdev Baba ka mela bhadwa sudi Shukla paksh ki dashmi ko bhara jata hai is sal yah Mela 24 September ko hai. Vaise to yah Mela Shravan mas se shuru ho jata hai aur 2 mahine Tak milegi dama dam rahti hai.
Ramdevra ka prachin Naam runicha hai. Ramdevra mein Ramdev ji ka mandir kafi bada hai.
Ramdev Ji Maharaj Rajasthan ke lok Devta Hain. Ramdevra mein Darshan karne se pahle sabhi bhaktgan Jodhpur mein Ramdev Ji ke Guru balinath ji ki samadhi ka darshan karte Hain aur uske bad Ramdevra prasthan karte Hain.
Aise Manyata hai ki Jodhpur mein Darshan karne ke bad hi Ramdevra mein Ramdev ji ka darshan hota hai.
Ramdev mele mein दूर-दूर se bhaktgan bason mein Karon se bike se aur bahut se log to दूर-दूर se paidal hi Ramdevra Darshan ke liye aate Hain. Pahle Jodhpur mein Baba ke darshan kar Ramdevra mein Baba ka darshan karte Hain. Raste mein जगह-जगह bhandare chalte Hain aur khane peene ki snan ki davaiyon ki sabhi suvidhaen hoti hai. Is mele mein bahut log Dharm punya karte Hain aur man manuhar karte Hain.
Jodhpur se bhi paidal yatri khoob Ramdevra jaate Hain aur pure raste mein unki khoob man manuhar hoti hai Jodhpur mein mele ka mahaul rahata hai.
Jodhpur se is sal maharani ji Hemlata Rajesh ne bhi paidal chalkar Ramdevra tak ki yatra 6 din mein Puri kari hai aur unhone Ramdev Baba ka darshan Kiya aur pure Rajasthan ke liye Sukh Shanti aur khushhali ki prathna ki.
Ham bhi har sal Ramdev Baba ke darshan karne jaate Hain aur bahut Anand aata hai.
Jay Baba ri sa.
Ramdev Ji Maharaj ki Jay Ho.
Ramsa peer ki Jay Ho.
Dhanyvad.
Comments
Post a Comment