Ganesh utsav.


Ganesh utsav 19 September ko hai Ganesh utsav Bhadra mas ki Shukla paksh ki chaturthi tithi ko manaya jata hai is din Bhagwan Shiv ke Ganesh ji ka janm hota hai Ganesh ji ke janm ke din hi Ganesh utsav manaya jata hai.

Ganesh chaturthi hinduon ka ek Pramukh tyohar hai. Yah tyohar pure Bharat mein manaya jata hai.

Maharashtra mein yah tyohar bahut dhumdham se manaya jata hai aur use din Maharashtra mein chhutti bhi hoti hai.

Ganesh utsav 11 din tak manaya jata hai. Chaturthi ke din mandiron mein gharon mein aur Ganesh ji ki sthapna karne ke liye pandalon ko bahut Sundar sajaya jata hai. Ganesh chaturthi ke din Ganesh ji ki sthapna hoti hai aur Anant chaturdshi ke din Ganpati Ji ka visarjan Kiya jata hai.

Bhagwan Ganesh ji ki Mata Parvati aur pita Shankar Ji ke Putra the. Kartikey Ganesh ji ke bhai the. Riddhi Siddhi Ganesh ji ki patniyan thi.

Ganesh chaturthi ke din Dhol nagaada aur Ghaziabad ke sath Ganesh ji ki Pratima Ko sthapit Kiya jata hai. Pandal ko bahut hi Sundar sajaya jata hai aajkal mitti ke Ganesh ji banae jaate Hain.

11 din tak subah Sham Puja Archana ke bad Ganesh ji ki aarti Kari jaati hai aur bhajan gae jaate Hain uske bad Bhog lagaya jata hai.

11 din tak Puja paath karne aur Bhog lagane ke bad Anant chaturdshi ke din Ganesh ji ka visarjan Kiya jata hai jaikaaron ke sath Ganpati Bappa Moriya agale Baras tu jaldi aana.

Shubh karya ke pahle ham sabse pahle Ganesh ji ki Puja karte Hain aur unko hi manate hain taki hamara har karya Safal ho.

Ganpati Bappa Moriya.
Jay Ganesha.

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..