Teej ka vrat Teej ka tyohar.
Teej ka tyohar bhadwa ke mahine mein Krishna pakki tritiya tithi ko manaya jata hai. Is sal 30 2 September ko hai. Rajasthan mein Teej ka tyohar bahut hi dhumdham se manaya jata hai aur yah Rajasthan ka sabse bada vrat bhi hai.
Teej Wale din suhagan mahilayen aur kunwari ladkiyan is din vrat rakhti hai. Suhagan mahilayen Tej Mata se apne Amar suhag ki prathna Karti Hain aur kunwari ladkiyan achcha work pane ke liye vrat rakhti Hain. Jo striyan aur kunwari ladkiyan vrat rakhti hai vah subah 4:00 baje uthkar dhamoli Karti Hain.
Dhamoli ke liye bajar se ya Ghar mein hi Raat Ko Bhagwan banakar rakhti Hain aur subah 4:00 baje uthkar khati Hain. Usko dhamoli bolate Hain. Nai dulhan ki pahli dhamoli sasural aur Pier donon jagah hoti hai. Nai Dulhan ko Pier se pahle dhamoli mein mithaai fal kapde tatha gahne bhi diye jaate Hain.
Teej per gehun chawal aur chane ki daal ke aate ke sattu banae jaate Hain. Jis stri ya kunwari Kanya ka vrat hota hai uske liye sattu thoda bada banaya jata hai aur usko 12 bolate Hain aur usi bare ke sath ek sattu Puja ke liye banaya jata hai.
Hamare yahan Rajasthan mein sattu ka aata har dukaan per Pisa hua mil jata hai. Rajasthan mein mithaai ki dukaan per banaa hua sattu taiyar milta hai.
Subah se hi striyan aur kunwari ladkiyan taiyar hokar Puja paath karke nirjal rahata Teej Mata ka vrat rakhti Hain.
Sabhi striyan aur ladkiyan hathon mein aur pairon mein Mehandi lagwati Hain aur 30 se pahle din Mehandi lagane walon ke yahan kafi bheed rahti hai.
Sham ke samay Naha dhokar taiyar hokar mandiron aur gharon mein striyan Puja karne jaati hai. Gharon aur mandiron mein neemdi Mandi jaati hai aur usi ki Puja Kari jaati hai isko Teej Mata kahate Hain.
Puja karne ke bad striyan chandrama Devta ko ark deti Hain aur chandrama Darshan ke bad aur chandrama ko ark dene ke bad suhagan striyan Apne Pati dev ke hath se Pani piti hai aur apna vrat kholti Hain.
Teej ka udyapan.
Teej Wale din hi 17 sattu banakar 16 suhagan striyon ko aur ek sakhiyon Ko Diya jata hai. Dibbe mein ek sattu nimbu aur Mehandi ka Kaun aur bindi ka packet aise 16 dibbe taiyar kiye jaate Hain aur 16 suhaginon ko unke pair chhukar aur Aashirwad lekar diye jaate Hain. Aur 17 dibaa aur to liya nariyal aur dakshina rakhkar Apne devar ko dete Hain aur use hi sakhiyan kahate Hain yah tha Teej Mata ka udyapan.
YYe Teej Mata apna Aashirwad banaa kar rakhna aur Amar suhag dena.
Teej Mata ki Jay Ho.
Comments
Post a Comment