Karva chauth ka tyohar

 Karva chauth hinduon ka ek Pavitra tyohar hai. Karva chauth ka tyohar hamare pure Bharat Desh mein manaya jata hai. Is din suhagan striyan Apne Pati ki lambi umra ke liye nirjal vrat rakhti Hain. Karva chauth ke din SAS Bahu ko sargi deti hai. Sargi ki thali mein mishthan kapde aur gahne aadi hote Hain.

Karva chauth ka vrat Kartik mas ke Krishna paksh ki chaturthi tithi ko Kiya jata hai. Subah se hi suhagin striyan Na dhokar mast taiyar hokar pura din nirjal rahata Apne Pati ki lambi aayu ki Bhagwan se Kamna karti hai aur vrat rakhti Hain. Yah vrat bilkul hi nirjal hota hai.

Shyam ke samay suhagan mahilayen Naha dhokar solah singar kar mast shaadi wali Lal rang ka lehenga ya mast Banarasi Sadi pahankar taiyar hoti hain aur ekadam dulhan ki tarah lagti hain aur Puja ki thali sajakar Mandir jaati hai aur sath mein shakkar se bhara hua karva bhi lekar jaati hai.

Shyam ke samay Mandir mein jakar suhagin mahilayen samuhik Puja karti hai aur chauth Mata ki kahani sunti hai. Gol ghera banakar ek dusre ko apna karva deti hai aur kabrva ghoom kar wapas apne pass hi a jata hai yahi Puja ka niyam hai.

Kahani sunane ke bad mahilayen Apne Ghar a jaati hai aur chhat per jakar Chandra Darshan chhalni se Karti Hain aur chandrama Devta ko ark deti Hain. Chandra Darshan karne ke bad unke Pati unko Pani pilate Hain aur gift dete Hain. Uske bad mahilayen apna vrat kholti Hain.

Karva chauth ka udyapan bhi hota hai. Puja tatha Chandra Darshan ke bad 16 suhaginen tatha ek pandit Ji ko bhojan karaya jata hai tatha apni shradha anusar dakshina dekar vah dhumdham se udyapan Kiya jata hai.

Maine bhi karva chauth ke vrat kiye the ab main udyapan kar chuki hun aur aur Mata Rani se prathna Karti hun jisse Maine vrat pure kiye vaise hi sabke vrat pure karana.

Karva chauth akhand saubhagya ka Pratik hai.

Chauth Mata ki Jay.

Dhanyvad.

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..