Pitru paksh ya Sharad

 Pitru paksh Yatra 16 din ka hota hai. Purnima se lekar amavasya Tak shraddh hota hai. Purnima ke din Sharad paksh shuru hota hai aur amavasya ke din purn hota hai shraddh 16 din ka hota hai.

Hamare Swarg sidhari hue bujurgon ke liye shraddh Kiya jata hai. Shraddh tithi ke hisab se Kiya jata hai. Jiski mrutyu jis tithi ko hoti hai usi din uska shraddh badi shradha se Kiya jata hai.

Shraddh ke din khir Puri banai jaati hai aur khir Puri ke bina raat ko adhura Mana jata hai. Sabse pahle Sara bhojan banakar ek thali mein kagor dalte hain aur usko chhat per rakhkar aur sath mein Pani rakhkar kauve ko dalkar chhat per rakhte Hain aur Sham Tak thali wala bhojan kava kha leta hai.

Shraddh ke din Brahman ko bulakar usko acche se bhojan kara kar aur Dan dakshina dekar Brahman ko Vida Kiya jata hai.

Shayad karne se kul mein koi dukhi nahin rahata aur pitaron ki Puja karke manushya aayu Putra Bal aur Sukh ki prapti karta hai. Shraddh paksh mein Dan punya karna chahie aur Dan punya karne se pitaron ko moksh milta hai.

Yad karne se aisi Manyata hai ki hamre piter tript hote Hain. Shraddh karne se manne wale Insan ki atma ko Shanti milati hai aur pittar ji hamesha hi hamari raksha karte Hain.

Agar ham kisi karanvashrad Na kar paye to Garib v anath bacchon ko kuchh Na kuchh khane ko jarur den taki Marne Wale ki aatm tript Ho jaaye.

Bhaiya ji main pitru paksh mein pinddan hota hai uske bad hamen shraddh nahin karna padta aisi Manyata hai.

Purnima ke din se hi shraddh paksh mein do roti mein ghi aur chini dalkar gay ko amavasya Tak roj Apne hath se khilana chahie.

Yahi hai shraddh ka mahatva. Mera Aisa manana hai ki agar ham Apne bujurgon Ko jite ji trapt kar den to hamen shrap karna hi nahin padega. Sabki apni apni soch aur Apne Apne vichar Hain.

Pitaron ka Aashirwad hamesha banaa rahe.

Dhanyvad.

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..