Paaltu Janwar ya hamare pets.

Jin janvaron ko ghar per ya form house mein pala jata hai unko paaltu Janwar kahate Hain. Jaise log gaon mein gharon mein gay paalte Hain aur unki khoob seva karte Hain. Gay ko Mata ka darja Diya gaya hai.

Gay hamara rashtriy pashu hai. Gaon mein gharon mein gay Pali jaati hai aur gaon mein log din bhar gay ki seva karte Hain. Gay ko chara khilana Pani pilana aur FIR ghumne ke liye gay ko khula bhi chhod dete Hain.

Subah Sham gay ka dudh bhi nikala jata hai. Gay ke gobar se uple tatha khad bhi banai jaati hai jo ki kheti karne ke kam aati hai.

Kai log Apne form house per ghode bhi paalte hain aur vahi ghodiyan shaadi ke mauke per kam aati hai.

Aajkal shahron mein adhiktar log kutta paalte Hain. Aajkal kutte ko palna ek fashion ban gaya hai. Kutte ko palna bhi ek bacche ko paalne jaisa hi hai kyunki yah mukh prani hai yah bol nahin sakte. Lekin hamare pass baithkar hamari baten bahut jyada Dhyan se sunte Hain aur hamare sath khelte Hain agar inko apne pass nahin bithao to yah Jor jor se bhaunkne lagte Hain.

Time se khana khilana hota hai use din mein 3-4 bar toilet potty karane le Jana padta hai.

Jab ham ghar mein kutta paalte Hain to unko injection bhi lagwana padta hai taki usko kisi tarah ka infection Na Ho aur Ghar mein koi aaye to uska bhi Dhyan rakhna padta hai ki kisi Ko kaatna le.

Apne pale hue kutte bahut samajhdar hote Hain jab unko bhookh lagti hai ya toilet potty Jana Ho to vah karna shuru kar dete Hain vah hamen ishare se samjha dete Hain.

Jab bimar hote hain to unka bahut jyada Dhyan rakhna padta hai. Jab ham kisi swayam ko ghar late Hain to vah bahut Chhota baccha hota hai. Dekhbhal karte karte tatha uske sath khelte khelte vah kab bada ho jata hai pata hi nahin chalta.

Swan badi jaldi bade ho jaate Hain unki taraf hamara Dhyan hi nahin jata. Unhen bhi mushkilon ka samna karna padta hai kyunki vah manushya ki tarah baat nahin kar paate vah Khali Ishara hi samajhte hain.

Umra mein धीरे-धीरे Parivartan aane lagta hai aur 8 ya 10 sal ki umra mein paaltu buddhe hone lagte Hain. Toilet aur potty karne mein bhi pareshani hone lagti hai aur Sara din aalsi ki tarah lete hi rahte hain.

Kai bar jyada kamjor hone lagte Hain aur khana Pina kam kar dete Hain tatha इधर-उधर jaane mein bhi pareshani hoti hai.

Badhati umra mein hamen unka jyada khyal rakhna chahie time time per baithana bhi doctor Ko dikha kar sala leni chahie.

Kai log gharon mein Billi bhi paalte hain.

Hamare pale hue janwar hamare ghar ke sadasya ban jaate Hain aur hamen unka pura Dhyan rakhna chahie.

Ham paaltu janvaron se bahut pyar karte hain.

Hamen unka khyal rakhna chahie.

Dhanyvad. 

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..