Shaktipeeth Ambaji.

Ambaji ka mandir Gujarat mein banaskantha jile mein padta ha. Is mandir ki duri Abu road se 70 kilometer hai.

Ambaji mein Mata ji ka mandir hai.

Yah Mandir 1200 varsh Purana hai aur iska Sikar 106 fit uncha hai aur 345 sarvan kalsh sthapit hai. Ambaji mein Mata ji ka mandir sabse prachin Mandir hai aur Pramukh dharmik Sthal hai.

Mandir ka Sthal bahut bada hai aur Mandir mein pura bajar banaa hua hai. Mandir parisar mein Bhagwan ke Samman ki bahut sari dukanen lagi Hui hai aur Bhagwan ka Prasad bhi UN dukaanon mein mil jata hai.

Ambaji ke Mandir mein Bhagwan Shri Krishna ka mundan Sanskar sampann hua tha Aisa Mana jata hai.

Ambaji ke Mandir mein photography varjit hai. Mandir mein camera ya phone le Jana varjit hai.

Mandir ke bahari dukaanon per lakar Bane hue hain aap apna pers belt mobile camera vahan per jama karna padta hai aur uske bad aapko token milta hai aur mandir darshan ke pakshat aap apna saman wapas le sakte hain.

Saman jama karane ke bad line mein lagkar bahut Sundar aur Shanti se Mandir mein Darshan hote Hain aur Mandir ke bhavyata dekhte hi banti hai. Man karta hai ki Mandir ko dekhte hi rahe.

Ab Ambaji mein hi Gabbar ka Mandir hai Ambaji se Gabbar pahunchne mein 15 minut ka samay lagta hai jo ki Ambaji Mandir se 4 kilometer dur hai Gabbar.

Gabbar jaane ke liye sidhiyan Bani Hui hai aur aajkal to rok per bhi banaa Diya gaya hai kafi log paise jaate Hain taki jaldi se Darshan karke niche a sake.

Gabbar ki chadhai kathin hai rupre se Jana hi theek rahata ha. Humne do bar Ambaji aur Gabbar donon jagah hi Darshan kiye hue hain.

Mandir jaane se hamen Bhagwan ke darshan bhi hote hain aur Mata ji ka Aashirwad bhi milta hai aise hi Bhagwan ka Aashirwad sabhi bhaktganon per banaa rahe.

Jay Mata Di.

Dhanyvad.

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..