Holi per faag utsav ki dhum

Is sal Holi ka tyohar 24 March ko hai aur 25 March ko rang khelne wali Holi hai. Rang khelne wali Holi ko faag bhi kahate Hain bhag Wale din ek dusre ko rang lagakar tatha gulal lagakar munh meetha kara kar ek dusre ko Holi ki shubhkamnaen dete Hain aur khoob mauj masti karte Hain.

Faagun ke mahine mein mandiron aur gharon mein faag utsav manaya jata hai use din mandiron mein bhajan kirtan tatha rangon aur phoolon se khoob Holi kheli jaati hai aur bhajanon per mast nritya Kiya jata hai tatha sabhi sakhiyan ek dusre ko rang lagakar aur Holi ke mast mast bhajan gakar satsang ka Anand leti Hain tatha dhumdham s faag utsav manaya jata hai.

Bhajan kirtan tatha satsang ke bad Hoti hai Holi ke Rasiya ki aarti uske bad bhog lagta hai aur uske bad sabhi sakhiyan chai nashta aur parsadi grahan Karti Hain aur khoob injoy Karti Hain.

Prasadi ka bhar kisi ek per na pade isliye sabhi sakhiyan थोड़ा-थोड़ा Sahyog Karti Hain aur sab ke sath bahut Anand aata hai.

Brij mein Radha Ji Shri Krishna ji ke sath Holi khelti thi aur yahi parampara Aaj bhi Chali a rahi hai.

Faagun ke mahine mein Mathura Vrindavan Barsana tatha nandgaon mein faag utsav ka mahaul Charan per hota hai tatha Mathura Vrindavan mein Holi ke samay bahut bheed hoti hai aur Mathura Vrindavan mein paon rakhne ki jagah nahin Hoti hai tatha Mathura mein lathmar Holi kheli jaati hai ekadam Shanti aur pyar se bhaktgan Holi pure Anand aur utsah se manate Hain.

Aaj bhi gaon mein to Chand aur daf bajane ka bhi riwaj hai.

Faag utsav mein sab khoob Masti aur enjoy karte Hain. 

Faagun ka Mahina aate hi bajar mein pichkari gubbare rangon tatha gulal ki dukane saj jaati hai aur bajar mein ekadam Holi ka khushnuma mahaul hota hai.

Bacchon ko to pichkari gubbare tatha rangon se Masti karte Hain aur khoob dhumdham se Holi ka tyohar manate Hain.

Hamare Desh mein har tyohar dhumdham se manaya jata hai.

Faag utsav mein khoob Masti aur enjoy hota hai aur bahut Anand aata hai.

Happy Holi all of you.

Thank you so much

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..