Mahashivratri parv.
Is sal Mahashivratri 8 march Ko hai. Yah Bhagwan Shiv ka Pramukh parv hai. Mahashivratri bhartiyon ka ek Pramukh tyohar hai. Mahashivratri ka parv faagun mas ki trayodashi tithi ko manaya jata hai.
Is din Shiv ji ki Puja ka Vishesh fal pradan karne wali Mani gai hai.
8 march Shivratri, Shiv tandav aur Shiv Mahi man ka parv hai.
Shivratri ke din subah se hi mandiron Ko khoob sajaya jata hai aur subah 5:00 baje se hi mandiron mein Puja ke liye bhakton ki line lagti hai.
Puja mein shivling per jal dudh belpatra safed Aag ke phool aur dhatura chadhana yahi Puja ka niyam hai.
Shivratri ke din kuchh bhaktgan is din Mahadev ji ka rudrabhishek bhi karte Hain.
Mahashivratri ke din Bhagwan Bholenath aur Mata Parvati ka Vivah hua tha. Isliye Kai mandiron mein Mahadev Ji ki barat bhi nikaali jaati hai. Aisa mujhe pata hai lekin Maine dekha kabhi nahin hai. Agar kabhi Mahadev Ji ki barat dekhne ka mauka Mila to jarur dekhungi.
Mahashivratri sal mein ek bar aati hai aur vaise to Shivratri har mahine aati hai.
Mahashivratri ke din pure din mandiron mein Puja paath bhajan satsang aur kirtan hote rahte hain tatha Charon taraf mandir ki ghantiyon ki gunj aur har har Mahadev tatha Om namah Shivay ka Jaap hota hai Raat 12:00 baje tak.
Pura Vishva Bhagwan Bholenath ki bhakti mein duba rahata hai aur har taraf har har Mahadev ke jaikare gunjate hain.
Is din Bhagwan Shiv ne tandav nritya bhi kiya tha.
Bhagwan Bholenath bahut bhole Hain aur vah ek Lota jal se hi prasann ho jaate Hain aur apne bhakton ka har kasht har lete Hain.
Mahashivratri ke din bhaktgan upvas karte Hain aur bahut se bhaktgan subah se hi Na dhokar Puja paath kar upvas karte Hain aur vah use din an nahin khate tatha din mein ek bar falahar karte Hain ya FIR Sam ya sabudana ki khichdi banakar khate Hain.
Mahashivratri ka parv shradha aur bhakti bhav se manaya jata hai aur sampann hota hai.
Mahadev ke Jay gosht ke sath Mahashivratri ka per ka samapan hota hai.
Om namah Shivay.
Har har Mahadev.
Dhanyvad.
Comments
Post a Comment