Aakhateej ya akshy tritiya
Is sal aakhateej 10 Mai Ko hai. Aakhateej vaishakh mas ki Shukla paksh ki tritiya tithi ko manaya jata hai.
Akshy tritiya per subah jaldi uthkar Ganga snan karna chahie ya Ghar per hi Pani mein gangajal dalkar nahana chahie. Shri Vishnu bhagwan aur Mata Lakshmi Ji ko Aksar chadhane chahie tatha safed Kamal ke phool agarbatti aadi se aakhateej ke din Puja paath karna chahie.
Is din gehun ka khinch gal Bani aur faliya ka kachra aur badhiya milakar mix sabji banai jaati hai aur Bhagwan ko bhog lagakar Prasad grahan Kiya jata hai.
Aakhateej ke din anubhut sava hota hai tatha is din muhurt dekhne ki koi jarurat nahin Hoti. Jinke shaadi ke muhurt nahin nikalte vah Bina muhurt ke is Dil shaadi kar sakte hain. Gaon mein ek din kafi shadiyan hoti hai aur pahle ke jamane mein is din chhote bacchon ki shadiyan kar Di jaati thi. Lekin aajkal prashasan bahut Dhyan rakhta hai isliye nabaligon ki shaadi hone se Bach jaati h.
Aakhateej ke din ki kuchh jankari.
Bhagwan Parshuram ka Avatar ISI din hua tha.
Aakhateej ke din hi Brahma ji ke Putra akshy Kumar ka janm hua tha.
Aakhateej ke din hi Kuber Ji ko khajana mila tha.
Aakhateej ke din hi man Ganga ko mahrshi Bhagirath is Dharti per lae the. Ganga ko Bhagwan Shiv ne apni jataon mein samet liya tha.
Aakhateej ke din hi Sudama aur Bhagwan Shri Krishna se milane pahunche the.
Aakhateej ke din hi satyug ka prarambh hua tha aur dwapar Yug ka samapan bhi aakhateej ke din hi hua tha.
Akshy tritiya ke din ved Vyas aur Bhagwan Ganesh ne Mahabharat ki kitab likhane shuru Kari thi.
Akshy tritiya ke din hi Mahabharat ka yuddh samapan hua tha.
Akshy tritiya ke din manglik karya Jaise Vivah grah Pravesh Vyapar aur udyog Adhikar Shubh muhurt karna chahie kyunki aakhateej mein Kiya hua muhurt bahut hi faldai hota hai.
Yah hai akshy tritiya ka mahatva.
Shubh aakhateej.
Dhanyvad.
👍
ReplyDelete👍🏻
ReplyDelete