Gruh Pravesh.

Jab hamara naya ghar banta hai to ham use ghar mein jaane se pahle Shubh muhurt nikalwate Hain pandit Ji se. Jo bhi Shubh muhurt nikalta hai. Jo bhi Shubh muhurt nikalta hai usi din ham ghar mein Puja paath havan aadi karane ke bad hi ghar mein Rahane jaate Hain. Use hi gruh Pravesh bolate Hain. 

Abhi do din pahle hi hamare yahan rishtedar ke gruh Pravesh tha. 

Pahle nimantran Patra whatsapp ke dwara bhej diye gaye the kyunki aajkal WhatsApp per hi jamana hai. 

Subah se hi gruh Pravesh ki taiyariyan chal Rahi thi. 

Sabse pahle mere rishtedar ne mangalkul mein jal bharkar ghar ke andar Dhol dhamake se ghar ke andar Pravesh Kiya aur Mangal Kalash ko pandit Ji ke bataen sthan per Rakha. 

Subah se hi pandit Ji ne gruh Pravesh ki apni sari taiyariyan Puri kar Li thi aur sath hi havan kund banakar havan ki Hui taiyari kar Li thi. 

Pandit Ji ne Mangal class sthapit kar aage ka karya karykram Puja paath ka aur havan ka kam pura Kiya. 

Havan yagya mantron ke dwara sampann hua uske bad Bhagwan Ji ki Aarti Hui aur dhumdham se ghar ka Shubh muhurt sampann hua. 

Bad mein hamare rishtedar ne apne badon ko pranam kar aur Bhagwan Ji ko pranam ka sabka Aashirwad liya aur khoob badhaiyan Li. 

Har manushya ki soch hoti hai ki jivan mein ek bar uska apna Ghar jarur banne chahe vah Chhota ho ya bada Ghar to ghar hi hota hai taki ham log kirae se Bach sake aur apne ghar mein acche se rah sake hamara manchaha kam karva sake. 

Ghar ko bahut Sundar Dulhan ki tarah sajaya Gaya tha. 

Havan Puja paath sampann hone ke bad sabhi mehmanon ne swadisht bhojan per shaadi ka Anand liya. 

Sabhi ke sath milkar bhojan ka Anand Lene mein bahut achcha Laga aur sabhi ne khoob injoy Kiya. 

Uske bad naye ghar mein Sunderkand ka paath hua Jo ki bahut hi Anand I tha aur bahut hi achcha laga aur khoob Anand liya sath mein bhajan bhi hote rahe. 

Uske bad ham sab ne milkar khoob Dhol thali per nritya Kiya aur sabse milkar khoob Khushi Hui tatha khoob injoy Kiya. 

Yahi tha grah Pravesh. 

Happy home. 

Dhanyvad. 

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..