Kailash Mansarovar.

Kailash Mansarovar Tibet mein sthit hai. Kailash Mansarovar ki yatra bahut kathin hai. Akele Kailash Mansarovar jaane ki himmat nahin Hoti aur Kailash Mansarovar group mein jana padta hai. 

Kailash Mansarovar jaane ke liye Sarkar se permission deni padati hai usi ke bad group wale hamen Kailash Mansarovar lekar jaate Hain. 

Kailash Mansarovar Bhagwan Shiv ka dham hai. Kailash parvat per Bhagwan Shiv aur Mata Parvati tatha unka pura Parivar rahata tha. Hindu dharm mein iska khas mahatva hai. 

Kailash Mansarovar Bai road bhi ja sakte hain aur flight se bhi ja sakte hain. 

Kailash Mansarovar ki yatra per kafi paisa kharcha hota hai aur Bhartiya Tirath yatri ko is Yatra per kam se kam 2 lakh rupaye kharch karne padte hain. 

By road Kailash Mansarovar ki yatra mein 20 din ka samay lagta hai aur is Yatra mein aapko thoda bahut paidal bhi chalna padta hai. 

Kailash Mansarovar jaane ke liye April se September Tak ka samay theek rahata hai. 

Kailash Mansarovar mein bahut jyada thand padati hai aur Yatra ke samay yatriyon ko Apne sath garm kapde bahut jyada rakhne padte Hain aur Pani itna Thanda hota hai ki snan karne bhi himmat nahin Hoti. 

Aajkal to Kailash parvat ke darshan helicopter se honge jiska kharch 75000 per person hai is helicopter mein 55 sal Tak ke Tirath yatri hi Yatra kar sakte hain kyunki unchai jyada hone ke Karan vahan per oxygen ki Kami Ho jaati hai aur samundra tal se 14000 feat se adhik uncha hai to isliye tabiyat kharab hone ka dar rahata hai. Abhi terathyatri apni jarurat ki davaiyan Apne sath lekar jaate Hain. 

Kailash Mansarovar ki yatra karne se pahle Tirath yatri ka medical checkup hota hai. 

Pahle yatra ka kharcha kam hota tha lekin korona kal ke bad Kailash Mansarovar ki yatra kafi mahangi ho gai hai. 

Kailash Mansarovar bahut Sundar jagah hai barf se dhake hue pahad barfili chotiyan sundarta dekhte hi banti hai. 

Kailash Mansarovar mein Pavitra jhil aur Pavitra parvat hai. Kailash parvat Mandir mein tirth yatriyon ko Om namo Shivay ka Jaap karna chahie. 

Sindhu Ganga satluj aur brahmputra Nadi Mansarovar se hi nikalti hai. 

Agar mujhe mauka Mila to main Kailash Mansarovar Jana chahungi. 

Kyunki Kailash Mansarovar bahut hi Sundar jagah hai aur Bhagwan Shiv ka dham hai. 

Dhanyvad. 

Comments

Popular posts from this blog

Mook badhir people.

Shiv bhakti

Dharali gaon ine Uttrakhand..