Makar Sankranti.
Makar Sankranti Bharat ke Pramukh tyoharon mein se ek hai. Makar Sankranti ka tyohar dhumdham se manaya jata hai yah tyohar Dan punya ke liye hai.
Makar Sankranti ka tyohar har sal 14 January ko manaya jata hai.
Makar Sankranti ke din Surya Bhagwan Apne Putra Shani Dev ke ghar gaye the aur Shani Dev ne Surya Bhagwan ko til Arpit kiye the. Is din til ka bahut mahatva hai tatha is din pita aur Putra ka aapse rishta kafi Madhur hua tha.
Makar Sankranti ke din Dan punya ka bahut jyada mahatva hai. Is din koi bhi Tera vastuon ka Dan Kiya jata Hai isko teernda kahate Hain.
Makar Sankranti ke din khichdi banane aur khane ka bahut mahatva hai.
Makar Sankranti ke din log bahut Dan punya karte hain aur subah Se Sham Tak mangne walon ki line lagi rahti hai.
Makar Sankranti ke din gud aur til ke laddu banae jaate Hain aur til ke ladduon ke andar ek ya do ka Sikka Rakha jata hai.
Gujarat rajya mein makar Sankranti ko uttrayan bola jata hai aur Gujarat mein makar Sankranti ke din Patang udane ka bhi Vidhan hai. Gujarat mein ghar ghar Patang udate Hain aur Gujarat ke har ghar mein makar Sankranti ke din undiyon aur Jalebi banate hain tatha chhaton per jakar Patang udate Hain tatha undiyon aur Jalebi khakar makar Sankranti ka khoob Anand lete Hain.
Dakshin Bharat mein makar Sankranti ko Pongal bola jata hai aur Pongal ke roop mein hi makar Sankranti dakshin Bharat mein manae jaati Hai.
Is sal 13 January se post Purnima ko Kumbh ka Amrit snan hai aur 14 January ko bhi Kumbh prayagraj mein makar Sankranti ka Amrit snan hai.
Pos mas ka pura Mahina hi Dan punya ka Mahina hai.
14 December se 14 January Tak malmass kahlata hai.
Sabhi gharon mein 14 January ko bade ya pakaude Banakar Tel jalaya jata hai tatha 14 January ko malmass utar jata hai malmass mein Tel jalana Shubh Mana jata hai.
Dan hamesha Brahman ko tatha jaruratmand ko Dena chahie.
Makar Sankranti ke din Dan punya jarur karna chahie.
Dhanyvad.
Comments
Post a Comment