Kanvad Yatra.
Kavad Yatra savan mas mein hoti hai.
Kanvad Yatra mein Pavitra Ganga nadi se jallaya jata hai aur usi Pavitra jal se Mahadev ji ka Abhishek Kiya jata hai.
Kavad Yatra Bhagwan Shiv bhakton ke dwara savan mas mein ki jaane wali tirth Yatra hai.
Savan mahine mein hajaron bhaktgan Haridwar se jald se Bhari Hui jhari Apne kandhon per lakadi ke dande mein donon taraf latka kar gangajal se bharkar late Hain.
Kanvad laane Wale Ko kavad yah kahate Hain. Kanvriya group mein chalte Hai.
Kavdiyon ko pavitrata ka bahut jyada Dhyan rakhna padta hai.
Kavdiya bhagava rang ke vastra dharan karte Hain.
Kanvad late samay Bam bol Bam bol tatha har har Mahadev jaykara lagate hue Ravana hote Hain.
Haridwar se apne sthan per pahunchne ke liye kanvdiyon ko 7 din ka samay lagta hai.
Pure raste Bhar kanvriya ka phool barsakar swagat Kiya jata hai.
Kavdiyon ka pura Dhyan Rakha jata hai ki unko Kisi kathinai ka Samna Na Karna pade.
Kanvriya nange paon hi chalte Hain. Paidal chalne Se unke pairon mein chhale ho jaate Hain aur Sujan a jaati Hai.
Kanvad Yatra ke samay ka mulyon ko pavitrata ka palan karna chahie.
Kanvad Yatra ke samay kanvad ko jameen per nahin Rakh sakte. Kanvad Yatra mein jal bharane ke bad sidha Bhagwan per Abhishek hota Hai.
Sanvariya Tara mein savniyon ko nange pair hi Yatra karni hoti hai.
Kanvad yatriyon per helicopter se Pushp Varsha ki jaati hai aur जगह-जगह per मान-मन्वार tatha swagat Kiya jata hai.
Kanvad Yatra Bhagwan Shiv ke prati bhakti aur Aastha ka Pratik hai.
Kavad ko kandhe per rakhkar chalna bhakton ki Tapasya hoti hai.
Itni kathinai aane ke bad bhi bhakton ki Aastha Bhagwan Shiv ke prati Kam nahin Hoti.
Is sal kanvad Yatra 11 July se shuru hokar 23 July ko Shivratri ke din kanvad Yatra samapan hogi.
Bhagwan Shiv to ek Lota jal se hi prasann ho jaate Hain.
Savan ke mahine mein kanvdiyon ka jordar Mela rahata Hai Charon taraf sadkon per kamudiyon ki hi bheed dikhti hai kyunki kanvdiye group mein chalte Hain.
Kanvriya shuddh satvik bhojan grahan karte Hain tatha lahsun pyaj ka Sevan nahin karte aur har Nashe se dur rahte hain.
Bhagwan Parshuram Ji Ne sabse pahle kanvad Yatra ki thi aur unhone hi Mahadev ji ka Jalna Abhishek kiya tha.
Treta Yug mein Shravan Kumar ne apne man baap Ko Ravan mein baithakar tirth Yatra karvai thi.
Savan mahine mein Shiv bhakt kanvad Yatra karte hain aur Pavitra nadiyon se jal lakar Mahadev ji ka Abhishek karte Hain.
Kavad Yatra bhakti aur shradha ka Pratik hai.
Har har Mahadev.
Bam bol Bam bol.
Jay Ho.
He Mahadev ji apna Aashirwad Apne bhakton per Banakar rakhna.
Comments
Post a Comment